HomeApplicationsKia Aap kam disk Space se preshan hai ?

Kia Aap kam disk Space se preshan hai ?

Kia aap lagatar kam ho rhi disk space se preshan hai ?

Yah tb hota hai jab aapki PC purana hota  hai .
Jiski hard disk ki space kam ho jati hai.
Ya aap nye SSD ka upyog kr the hai.

Hard disk

Is samasya se nipatne ke liye windows ka disk  Cleanup tool ka istemaal krke thak chuke hote hai aur ab aapko all in one Optimizers par se bhi bharosa uth chuka hai jo aamtaur pr bhi itne effective nhi hote.
Auslogics Windows slimmer:
Aapke pas apne Computer pr bahut sari cheje hai jinka upyog aap kabhi bhi nhi krenge. In main kuch non optimal settings kuch system app jo launch nhi kiye jayenge ya kuch active option jo background main deta transmit krenge 
Aur ye sab chijen aap ki kimti baqt ko lete hai aur system resources ki barbadi krte hai jiske bjha se appki pc ki efencency kam ho jati hai.

Sath hi Aapki PC ke liye maintenance  and Update jarori hai software ke purane ho chuke version ko delete krne unwanted File and clastor ko clean krne se aapki PC ki Performance main kafi sudhar ho sakta hai.
Unwanted file and folder any temporary data jgah banate hai jo aapki PC ki speed ko slow kr skta hai.
Yah bo jagah hai jahan Auslogics Windows slimmer aapki help kr skta hai
Yh ek free software hai jo aapki PC se windows ki footprint ki nisaan ko nikal sakta hai. Aur PC ke performance ko behtar bana sakta hai jo culter file ko delete kr aur sbhi install application aur program ko manage kr aapki PC ko speed deta hai .
Iska main maksad gair jroori Deta ko clean krna hai jo ki Aapki PC ki kimti 
Space le rhe hai isse aapki PC ki performance badh jati hai.

Windows slimmer ko any jaroori windows  component ko remove krne ya bina kaam ke app ko install krne aur PC ki setting ko thik krne aur os ke footprint ko chota krne ke liye aur memory ko kam krne aur privacy protection ke lgne wale CPU  power ko km  krne ke liye design kia gya hai.
Windows slimmer main maintanace ke do type hai 
One time maintainance jismain aap jaroori file disable component data example window.old folder ko target kr sakte hai.
Dusra regular maintenance hai memory dump file recycle bin temporary crass folder etc.
Last main app ko clean ke sakte hai jahan aap kisi bhi app ko un install kr skte hai.
Yah program window 8, 10/ 8.1/ window 7/ vista aur xp  operating system ko support krta hai.
RELATED ARTICLES

2 COMMENTS

  1. We stumbled over here
    coming from a different web address and thought I
    should check things out.
    I like what I see so i
    am just following you. Look forward to looking over your web page again.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here

- Advertisment -

Most Popular

Recent Comments